subh-dam bhi yun fasurda ho gaya
ai dil-e-nazuk tujhe kya ho gaya
sina-e-barbat se jo shoala uTha
gham-zadon ke dil ka naghma ho gaya
shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab
main bhari mahfil mein tanha ho gaya
raat dil ko tha sahar ka intizar
ab ye gham hai kyun sawera ho gaya
puchhiye us se gham-e-saz-e-KHulus
chaar hi din mein jo ruswa ho gaya
bujh gai kuchh is tarah sham-e-'salam'
jaise ek bimar achchha ho gaya
Ghazal
Subh-dam bhi yun fasurda ho gaya
Salam Machhli shahri