subh bhi hoti rahi mahtab bhi Dhalta raha
zindagi ka karwan chalta raha chalta raha
saneha kya us pe guzra kaun uTh kar dekhta
ahl-e-KHana so gae lekin diya jalta raha
mere KHwabon ki koi buniyaad bhi thi kya kahun
barf ka parbat tha ek galta raha galta raha
aaKHiri waqt aa gaya to sochta hun dosto
aaj ka jo masala tha kal pe kyun Talta raha
samne ke dushmanon se bach ke rahna sahal tha
aastin ka sanp tha baDhta raha palta raha
hadse ki wo kahani muKHtasar si hai 'shakil'
bansuri bhi baj rahi thi shahr bhi jalta raha
Ghazal
Subh bhi hoti rahi mahtab bhi Dhalta raha
athar shakeel

