soz-o-gudaz-e-ishq ka charcha na kar sake
husn-e-sitam-zarif ko ruswa na kar sake
wo zaKHm chahta hun main ai husn-e-dil-fareb
jis ko teri nigah bhi achchha na kar sake
jab yaad aa gaya hamein afsana-e-azal
gham-ha-e-rozgar ka shikwa na kar sake
uTThi nigah-e-shauq to pathra ke rah gai
is jalwa-e-hasin ka nazara na kar sake
saqi teri nigah ka andaz dekh kar
mai-kash ba-qadr-e-zarf taqaza na kar sake
KHud e'tiraf-e-jurm kiya hum ne ai 'mushir'
lekin shikast-e-husn gawara na kar sake
Ghazal
Soz-o-gudaz-e-ishq ka charcha na kar sake
Mushir Jhanjhanvi