اردو हिंदी
Soz-e-parwana nur-e-din-e-shama | Shaahi Shayari
soz-e-parwana nur-e-din-e-shama

Ghazal

Soz-e-parwana nur-e-din-e-shama

Kishan Kumaar Waqaar

;

soz-e-parwana nur-e-din-e-shama
tar-e-zunnar dil-nashin-e-shama

qatra-e-KHun-e-zaKHm-e-parwana
qashqa-e-taza-e-jabin-e-shama

tum bhi do ek bosa bahr-e-KHuda
ki hai gul-gir bosa-chin-e-shama

dana-e-ishq bo raha hai patang
soKHta garche hai zamin-e-shama

meri arz-e-hayat ka hai tul
nafas-e-tang wapsin-e-shama

aah parwane ka pareshan dud
ban gaya zulf-e-ambarin-e-shama

qadr-e-majnun na hogi mere baad
KHak jugnu ho ja-nashin-e-shama

roz-e-awwal se hain baham marbut
dast-e-parwana aastin-e-shama

haq mein parwane ke hai tir-e-shahab
ai 'waqar' aah-e-atishin-e-shama