soz-e-dil se pur-nam ho gai
ab to ye aatish bhi shabnam ho gai
jab tabiat KHugar-e-gham ho gai
rafta rafta har KHalish kam ho gai
zaKHm dil ke ho chuke the la-ilaj
ek nigah-e-lutf marham ho gai
hai mohabbat ka ye mearaj-e-kamal
zindagi KHud tishna-e-gham ho gai
kar chuke hain un se hum ahd-o-wafa
aur ye zanjir mohkam ho gai
gham pe tha sara madar-e-zindagi
gham hua kam to KHushi kam ho gai
wo sitam kar ke pasheman jab hue
sharm se gardan meri KHam ho gai
dekhna mere tasawwur ka kamal
aarzu-e-dil mujassam ho gai
der tak milte rahe qalb-o-nazar
guftugu kuchh aaj baham ho gai
chheD dena ho gaya 'shankar' sitam
zulf un ki aur barham ho gai

Ghazal
Soz-e-dil se pur-nam ho gai
Shankar Lal Shankar