soz-e-dil-o-jaan aur hai saz-e-dil-o-jaan aur
ehsas-e-bayan aur hai idrak-e-nihan aur
duniya-e-mohabbat mein zamin aur zaman aur
ek shoala-ba-jaan naghma-kunan raaz-e-nihan aur
shair ka jahan aur hai shatir ka jahan aur
mafhum mohabbat ka yahan aur wahan aur
ai chand ki mafluj fazaon ke musafir
hai muntazir-e-did abhi bazm-e-jahan aur
KHud mahw-e-tamasha hain mah-o-mehr-o-kawakib
hai aadam-e-KHaki teri manzil ka nishan aur
kuchh dur hujum-e-gham-e-jaanan se nikal ja
ai ashk-e-rawan shoala-e-jaan barq-e-tapan aur
ye nuzhat-o-nikhat ka tabassum wo tasadum
ye abr-e-karam aur hai aahon ka dhuan aur
tujh ko gham-e-jaanan gham-e-dauran se badal dun
hai azm-e-jawan aur zaman aur saman aur
sarmaya-e-hasti tha kabhi josh-e-taghazzul
ehsas-e-junun aur tha andaz-e-bayan aur
kya ye bhi zamane ka koi turfa asar hai
hai teri 'aziz' aaj zaban aur bayan aur
Ghazal
Soz-e-dil-o-jaan aur hai saz-e-dil-o-jaan aur
Aziz Badayuni