اردو हिंदी
Soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama | Shaahi Shayari
soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama

Ghazal

Soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama

Ishq Aurangabadi

;

soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama
dil ka jalna hum dikhate hain to jal jati hai shama

ye dhuan nin dard se bharti hai aahen jaan-gudaz
kis nazakat sat ek ek ashk Tapkati hai shama

sar-site panw talak gharq-e-araq be-wajh nin
be-hijab us shola-ru ko dekh sharmati hai shama

shola-ru ke dekhne ki yan talak mushtaq hai
panw tak sar se laga kar aankh ban jati hai shama

'ishq' parwane ke matam mein wo apne baal khol
soz-e-dil se aah kya rone mein bhar jati hai shama