soz-e-darun hamara zahir na ho kisi par
ek dagh lag na jae daman-e-ashiqi par
lazim hazar hai ai dil aah-o-fughan se daim
aata hai harf us se dawa-e-dosti par
rah-e-wafa mein koi deta hai sath kis ka
gham kyun manaen nahaq hum apni bekasi par
nazan jamal-e-parda gharra ada pe un ko
mujh ko bhi faKHr lekin hai jazb-e-ashiqi par
mamnun 'qadri' hun us nukta-chin ka dil se
tanqid jis ki saiqal hai meri shairi par
Ghazal
Soz-e-darun hamara zahir na ho kisi par
Shaghil Qadri