اردو हिंदी
Soz-e-alam se dur hua ja raha hun main | Shaahi Shayari
soz-e-alam se dur hua ja raha hun main

Ghazal

Soz-e-alam se dur hua ja raha hun main

Sheri Bhopali

;

soz-e-alam se dur hua ja raha hun main
wo to jala rahe hain bujha ja raha hun main

manus-e-iltifat hua ja raha hun main
dekh ai nigah-e-naz miTa ja raha hun main

jalwon ki tabishen hain ki allah ki panah
rangin tajalliyon mein ghira ja raha hun main

ye aate jate hai nigah-e-ghaiz kis liye
le aaj tere dar se uTha ja raha hun main

rahon se aashna hun na manzil-shanas hun
le ja raha hai shauq chala ja raha hun main

kaifiyyat us nigah ki hamdam bataun kya
ek mauj hai ki jis mein baha ja raha hun main

ya ibtida-e-ishq mein gham mere sath tha
ya gham ke sath sath chala ja raha hun main

kya chiz hai nawed-e-rihai ki ham-nafas
jaise qafas samet uDa ja raha hun main

meri tabahiyon pe zamane ko rashk hai
tum to miTa rahe ho bana ja raha hun main

'sheri' ye kis ne aaj nazar mujh se pher li
apni nazar se aap gira ja raha hun main