sote hain hum zamin par kya KHak zindagi hai
maTi mein san rahe hain napak zindagi hai
ghair-az-libas-e-zahir surat na pakDe mani
taswir ke waraq par poshak zindagi hai
sar kaT kar na mera fitrak se lagawe
samjhe agar wo us ki fitrak zindagi hai
kyun-kar kare na har-dam qat-e-manazil-e-umr
tegh-e-zaban se apni chaalak zindagi hai
jite hain dekh kar hum zulf-e-siyah ko us ki
afyuniyon ki jaise tiryak zindagi hai
de wasl ka tu wada jhuTa unhon ko ja kar
is baat se jinhon ki imlak zindagi hai
mani niyaz ke ek niklen hain bas-ki is mein
al-hamd mein hamari iyyak zindagi hai
gar nak ho na munh par kya lutf zindagi ka
insan ke badan mein ye nak zindagi hai
do din mein aa rahe hai KHat ka jawab wan se
ai 'mushafi' hamari ye Dak zindagi hai
Ghazal
Sote hain hum zamin par kya KHak zindagi hai
Mushafi Ghulam Hamdani