sone ke lab chandi ke chehron mein jaDe hain
un se baat na karna tum ye log baDe hain
tufanon mein chalna to mushkil hai lekin
ye himmat bhi kya kam hai kuchh log khaDe hain
ye ab kya DhunD rahe ho in KHali aankhon mein
ye goshe to barson se viran paDe hain
kaisi kaisi anhoni baaten hoti hain
kaise kaise duniya ne ilzam gaDhe hain
mez kitaben kamra KHat taswir risale
hum kya chup hain sab ke sab KHamosh paDe hain
'nur' unhen bhi izn mile kuchh aazadi ka
jo sadiyon se jismon ke jangal mein paDe hain
Ghazal
Sone ke lab chandi ke chehron mein jaDe hain
Noor Taqi Noor