sona tha jitna ahd-e-jawani mein so liye
ab dhup sar pe aa gai hai aankh kholiye
yaad aa gaya jo apna gareban bahaar mein
daman se munh lapeT liya aur ro liye
ab aur kya karen tere tark-e-sitam ke baad
KHud apne dil mein aap hi nashtar chubho liye
parwana-e-rihai-e-KHama to mil gaya
lekin huzur ab dar-e-zindan bhi kholiye
apne liye tayyun-e-manzil koi nahin
jo bhiD jis taraf ko chali sath ho liye
thi nagawar-e-taba tujhe sadgi-e-ishq
le aaj hum ne palkon mein moti piro liye
har ek ba-zom-e-KHwesh jahan ho suKHan-shanas
behtar ye hai 'saba' ki wahan kuchh na boliye

Ghazal
Sona tha jitna ahd-e-jawani mein so liye
Saba Akbarabadi