sohbat hai tere KHayal ke sath
hai hijr ki shab visal ke sath
ai sarw-e-rawan Tuk ek idhar dekh
ji jate hain teri chaal ke sath
hai tegh o kaman ki si nisbat
abru ko tere hilal ke sath
mat zulf ko shana kar mera ji
wabasta hai baal baal ke sath
dil apna hanuz sadgi se
pechida hai zulf o KHal ke sath
mehman tha kis ka tu shab ai mah
aata hai jo is malal ke sath
ruKHsaron ne kuchh araq kiya hai
kuchh chashm hai infial ke sath
main sher hun besha-e-suKHan ka
sohbat hai sag o shaghaal ke sath
iksir hai 'mushafi' ka milna
yani ki wo hai kamal ke sath
Ghazal
Sohbat hai tere KHayal ke sath
Mushafi Ghulam Hamdani