اردو हिंदी
Sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi | Shaahi Shayari
sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi

Ghazal

Sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi

Nami Ansari

;

sohbat-e-shab ka talabgar na hoga koi
KHauf itna hai ki bedar na hoga koi

dhup har samt se nikli to kahan jaoge
dasht mein saya-e-diwar na hoga koi

harf-e-ehsas bhi jal jaega honTon ki tarah
muddaa qabil-e-izhaar na hoga koi

main ki parwarda-e-sahra hun bikunga kaise
dekh lena ki KHaridar na hoga koi

kuchh to hai jis ki tapish zer-o-zabar karti hai
yunhi ruswa sar-e-bazar na hoga koi

sare aalam ko tajassus hai nai samton ka
kaise 'ghaalib' ka taraf-dar na hoga koi

kis ko ye ahd-e-junun saunp ke jaun 'nami'
jaanta hun ki saza-war na hoga koi