اردو हिंदी
Sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai | Shaahi Shayari
sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai

Ghazal

Sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai

Manzoor Husain shor

;

sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai
aur jo mina bhari thi bhari rah gai

kya ghazab hai nasheman sulagta raha
aur shaKH-e-nasheman hari rah gai

aaKHirash kaam aa hi gai KHamushi
lafz-o-mani ki parda-dari rah gai

har nazar ban gai apne sine ka tir
ek KHalish ban ke dida-dari rah gai

nasl-e-adam se itne uThe kirdgar
apne lab si ke paighambari rah gai

aadmi ka KHuda ban gaya aadmi
dawar-e-hashr ki dawari rah gai

mera har naqsh-e-pa ban gaya sang-e-mil
KHizar ki zahmat-e-rahbari rah gai

'shor' daman-e-gham ho gaya tar tar
har masarrat ki baKHiya-gari rah gai