sohbat-e-ghair mun jaya na karo
dard-mandan kun kuDhaya na karo
haq-parasti ka agar dawa hai
be-gunahan kun sataya na karo
apni KHubi ke agar talib ho
apne talib kun jalaya na karo
hai agar KHatir-e-ushshaq aziz
ghair kun dars dikhaya na karo
mujh ko turshi ka hai parhez sanam
chin-e-abru kun dikhaya na karo
dil kun hoti hai sajan betabi
zulf kun hath lagaya na karo
nigah-e-talKH sun apni zalim
zahr ka jam pilaya na karo
hum kun bardasht nahin ghusse ki
be-sabab ghusse mein aaya na karo
pak-bazan mein hai mashhur 'wali'
us sun chehre kun chhupaya na karo

Ghazal
Sohbat-e-ghair mun jaya na karo
Wali Mohammad Wali