sofar-e-tasawwur hai sitaron ka hadaf hai
hai fateh aflak ye insan ka sharaf hai
ek lamha-e-taKHliq ki aahaT hai kahin par
moti koi niklega abhi band sadaf hai
tu bhi to haTa jism ke suraj se andhere
ye mahki hui raat bhi mahtab-ba-kaf hai
jis lafz pe sar apne kaTae shohda ne
tarikH-e-siyasat se wahi lafz hazf hai
har samt farishte hain ki tarshe hue patthar
is bhiD mein insan ke liye bhi koi saf hai
Ghazal
Sofar-e-tasawwur hai sitaron ka hadaf hai
Izhar Asar