soe pani ke tale Dube hue paikar likhen
aaina-KHane mein guzri saaton ke ghar likhen
aankh ki putli mein Thahri KHwahishon ke rang se
jo na ho mahsus aisi baat chehre par likhen
dastaken deti hai kachche jism par mauj-e-saba
waqt ke aab-e-rawan pe aks ke paikar likhen
bhige honTon par hawa ke garm bose sabt hain
sard kamre mein lahu ke dauDte lashkar likhen
KHwahishon ke chand ka lamba safar tai ho gaya
ab akele-pan ke maidan mein ghire mandar likhen
muTThiyan kholin pasine ke siwa kuchh bhi nahin
umr se baDh kar purani baat phir kyun-kar likhen
jism ke qisse to ab 'ahmad' purane ho gae
ab koi taza riwayat dil ke patthar par likhen
Ghazal
Soe pani ke tale Dube hue paikar likhen
Sibt Ahmad