اردو हिंदी
Soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the | Shaahi Shayari
soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the

Ghazal

Soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the

Bashir Badr

;

soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the
hum bhi kabhi kisi ke liye KHub roe the

angnai mein khaDe hue beri ke peD se
wo log chalte waqt gale mil ke roe the

har sal zard phulon ka ek qafila ruka
us ne jahan pe dhul aTe panw dhoe the

is hadse se mera talluq nahin koi
mele mein ek sath kai bachche khoe the

aankhon ki kashtiyon mein safar kar rahe hain wo
jin doston ne dil ke safine Duboe the

kal raat main tha mere alawa koi na tha
shaitan mar gaya tha farishte bhi soe the