sochta hun ki apni raza ke liye chhoD dun
wo jo kahta hai us ko KHuda ke liye chhoD dun
chumne ke liye tham rakhkhun koi dam wo hath
aur wo panw rang-e-hina ke liye chhoD dun
shahr ko sare logon mein taqsim kar dun magar
chand galiyan main apni sada ke liye chhoD dun
KHwahishen tang hain dil ke andar agar tum kaho
ye kabutar tumhaari faza ke liye chhoD dun
kar-e-mushkil to hai hi magar main bhi majbur hun
ibtida ko agar intiha ke liye chhoD dun
mera hargiz bhi koi bharosa nahin hai agar
main rawa ko yahan na-rawa ke liye chhoD dun
ye bhi mumkin hai KHud se kisi din guzarte hue
apne TukDe kahin ja-ba-ja ke liye chhoD dun
ab ye socha hai muTThi mein umr-e-baqaya meri
jo bhi hai ek der-ashna ke liye chhoD dun
KHud se bahar nikal jaun main aur KHud ko 'zafar'
koi din jangalon ki hawa ke liye chhoD dun
Ghazal
Sochta hun ki apni raza ke liye chhoD dun
Zafar Iqbal