اردو हिंदी
Sochon se in KHwabon ki zanjiren kab utrengi | Shaahi Shayari
sochon se in KHwabon ki zanjiren kab utrengi

Ghazal

Sochon se in KHwabon ki zanjiren kab utrengi

Najmus Saqib

;

sochon se in KHwabon ki zanjiren kab utrengi
rasta dekhti aankhon par tabiren kab utrengi

apne pyaron ke jaane ka matam kab tak hoga
diwaron se ye pichhli taswiren kab utrengi

TuTi kaDiyan joDne wale aaKHir kab aaenge
girhen kholne wali wo tahriren kab utrengi

tujh bin KHali rah kar kitne sal bitane honge
mere hathon mein teri taqdiren kab utrengi

kab badlengi zaKHm pe marham rakhne wali rasmen
dard ki gahrai mein ye tadbiren kab utrengi