اردو हिंदी
Sochna ruh mein kanTe se bichhae rakhna | Shaahi Shayari
sochna ruh mein kanTe se bichhae rakhna

Ghazal

Sochna ruh mein kanTe se bichhae rakhna

Anwar Masood

;

sochna ruh mein kanTe se bichhae rakhna
ye bhi kya sans ki talwar banae rakhna

ab to ye rasm hai KHushbu ke qaside paDhna
phul gul-dan mein kaghaz ke sajae rakhna

tirgi TuT paDe bhi to bura mat kahiyo
ho sake gar to charaghon ko jalae rakhna

rah mein bhiD bhi paDti hai abhi se sun lo
hath se hath mila hai to milae rakhna

kitna aasan hai taid ki KHu kar lena
kitna dushwar hai apni koi rae rakhna

koi taKHliq bhi takmil na pae meri
nazm likh lun to mujhe nam na aae rakhna

apni parchhain se munh moD na lena 'anwar'
tum use aaj bhi baaton mein lagae rakhna