sochiye hum se taghaful bhi baja hai ki nahin
ki yahi maqsad-e-arbab-e-fana hai ki nahin
zist mein lamha-e-andoh-jafa hai ki nahin
ai mohabbat koi teri bhi KHata hai ki nahin
past kar dete hain maujon ko ubharne wale
Dubna KHud na ubharne ki saza hai ki nahin
chhanw mein phulon ki aankhen to michi jati hain
kaun dekhe ye chaman jag chuka hai ki nahin
han mere ishq ne soche the baDe hangame
tu ne chhup chhup ke sahaara bhi diya hai ki nahin
kya ghalat ishq ko hai jurm-e-wafa ka iqrar
husn par zahmat-e-bedad-o-jafa hai ki nahin
tujh ko bedari-e-gulshan ki qasam hai ki bahaar
zehn-e-insan bhi kahin jag raha hai ki nahin
sab hain shahid ke bhulane ka bahana kar ke
main ne har waqt tera nam liya hai ki nahin
kis ko jine se hai fursat jo ye soche ki mujhe
koi kaam aur bhi jine ke siwa hai ki nahin
shukriya aap ke ehsas-e-jafa ka lekin
ye karam fitna-e-aghaz-e-jafa hai ki nahin
hai abhi faisla baqi ki dilon par ab tak
aap se koi sitam ho bhi saka hai ki nahin
raaz phulon pe bahaaron ka karam hai lekin
yun bhi kaliyon ka jigar chaak hua hai ki nahin

Ghazal
Sochiye humse taghaful bhi baja hai ki nahin
Raaz Yazdani