sochiye garmi-e-guftar kahan se aai
lab-ba-lab KHwahish-e-izhaar kahan se aai
kis hina-hath se aangan hai moattar itna
waqt-e-KHush saat-e-bedar kahan se aai
han ye mumkin hai naya moD ho phulon jaisa
phir ye pazeb ki jhankar kahan se aai
KHun mein nashsha-e-izhaar ka KHanjar paiwast
darmiyan chup ki ye talwar kahan se aai
hum KHarabe ke musafir hain hamare dil mein
aarzu-e-dar-o-diwar kahan se aai
sochta hun ki KHush-andaz dilon mein ai 'raaz'
shorish-e-KHu-e-dil-azar kahan se aai
Ghazal
Sochiye garmi-e-guftar kahan se aai
Raj Narayan Raaz