sochiye gar use har-nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye
surajon ki wirasat mili thi hamein dar-ba-dar ho gae raushni ke liye
koi aawaz hai wo koi saz hai us se hi rang-o-nikhat ka dar-baz hai
jis taraf ho nazar wo rahe jalwa-gar kaise sochenge hum phir kisi ke liye
bad-dimaghi meri hai wahi jo ki thi tarz-e-KHud-bin tumhaara wo hai jo ki tha
chal rahe hain ana ke sahaare magar rasta hi nahin wapsi ke liye
ho salamat mera ishq josh-e-junun husn ke raaz KHud munkashif ho gae
itni mushkil nahin rahguzar-e-fana be-KHudi chahiye aagahi ke liye
Ghazal
Sochiye gar use har-nafas maut hai kuchh mudawa bhi ho be-hisi ke liye
Shahzad Anjum Burhani