socha nahin achchha bura dekha suna kuchh bhi nahin
manga KHuda se raat din tere siwa kuchh bhi nahin
socha tujhe dekha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri KHata meri wafa teri KHata kuchh bhi nahin
jis par hamari aankh ne moti bichhae raat bhar
bheja wahi kaghaz use hum ne likha kuchh bhi nahin
ek sham ke sae tale baiThe rahe wo der tak
aankhon se ki baaten bahut munh se kaha kuchh bhi nahin
ehsas ki KHushbu kahan aawaz ke jugnu kahan
KHamosh yaadon ke siwa ghar mein raha kuchh bhi nahin
do-chaar din ki baat hai dil KHak mein mil jaega
jab aag par kaghaz rakha baqi bacha kuchh bhi nahin
Ghazal
Socha nahin achchha bura dekha suna kuchh bhi nahin
Bashir Badr