socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
wo KHun bhi thukega to parwa na karenge
is bar wo talKHi hai ki ruThe bhi nahin hum
ab ke wo laDai hai ki jhagDa na karenge
yan us ke saliqe ke hain aasar to kya hum
is par bhi ye kamra tah-o-baala na karenge
ab naghma-taraazan-e-bar-afroKHta ai shahr
wasoKHt kahenge ghazal insha na karenge
aisa hai ki sine mein sulagti hain KHarashen
ab sans bhi hum lenge to achchha na karenge
Ghazal
Socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge
Jaun Eliya