اردو हिंदी
Soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal | Shaahi Shayari
soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal

Ghazal

Soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal

Shahid Kamal

;

soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal
tu ne apne tarkash mein jo rakkha hai wo tir nikal

jis ka kuchh anjam nahin wo jang hai do naqqadon ki
lafzon ki saffak sinanen lahjon ki shamshir nikal

aashob-e-taKHrib sa kuchh is andam-e-taKHliq mein hai
toD mere diwar-o-dar ko ek nai tamir nikal

chand sitaron ki kheti kar raat ki banjar dharti par
aankh ke is sukhe dariya se KHwabon ki tabir nikal

tere is ehsan se meri ghairat ka dam ghuTta hai
mere in pairon se apni shohrat ki zanjir nikal

roz ki aapa-dhapi se kuchh waqt chura kar lae hain
yar zara hum donon ki ek achchhi si taswir nikal

'shahid' ab ye aalam hai is ahd-e-suKHan-arzani ka
'mir' pe kar irad bhi us pe 'ghaalib' ki tafsir nikal