soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga
main simaT kar uD gaya KHali badan ka ghar laga
ghurti hain har taraf be-nur aanhken kis liye
aaina-KHane mein aandhe se kaho chakkar laga
yaad mein kapDe badalne ke liye mujh se chhupa
wo kahin bhi tha mujhe kuchh der dariya par laga
jin munDeron se kabutar jhankte the raat din
itni unchi ho gai hain dekhte hi Dar laga
ittifaqan ghanTiyan si kan mein bajne lagin
main akela hi tha ghar mein sara ghar mandar laga

Ghazal
Soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga
Majid-ul-Baqri