soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya
jab bhi aaina dekha KHud ko dusra paya
honT par diya rakhna dil-jalon ki shoKHi hai
warna is andhere mein kaun muskura paya
bol the diwanon ke jin se hosh walon ne
soch ke dhundlakon mein apna rasta paya
ehtimam dastak ka apni waza thi warna
hum ne dar rasai ka bar-ha khula paya
falsafon ke dhagon se khinch kar sira dil ka
wahm se haqiqat tak hum ne silsila paya
umr ya zamane ka khel hai bahane ka
sab ne majra dekha kis ne muddaa paya
shaeri talab apni shaeri ata us ki
hausle se kam manga zarf se siwa paya
'saz' jab khula hum par sher koi 'ghaalib' ka
hum ne goya baatin ka ek suragh sa paya
Ghazal
Soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya
Abdul Ahad Saaz