soch ka zahr na ab sham-o-sahar de koi
aam hai be-KHabari aisi KHabar de koi
sair-e-afaq ho kyun mashghala-e-fikr-o-nazar
kash mere par-e-parwaz katar de koi
dur tak bikhra hua ret ki surat hai wajud
KHud ko aawaz idhar de ki udhar de koi
mere alfaz na kar pae maani ko asir
kitne dariyaon ko ek kuze mein bhar de koi
munkashif jis se hon asrar meri hasti ke
jaane kab mujh ko wo irfan-o-nazar de koi
Ghazal
Soch ka zahr na ab sham-o-sahar de koi
Tanveer Samani