اردو हिंदी
Soch ka ek jalta sa diya hai | Shaahi Shayari
soch ka ek jalta sa diya hai

Ghazal

Soch ka ek jalta sa diya hai

Makhdoom Munawwar

;

soch ka ek jalta sa diya hai
soya hua dukh jag uTha hai

chehra chehra bojh thakan ka
aadhe raste par baiTha hai

gahri yaadon ka suraj bhi
dhire dhire Dub chala hai

aag laga kar apne ghar ka
koi tamasha dekh raha hai

KHali hath aur KHali chehre
pani rasta DhunDh raha hai

kirnon ki matwali faza mein
suraj sa ek thaal gaDa hai

raste jate hain ganw ko
shahr ne chehra badal liya hai

mujh mein koi bas jae phir
KHali kamra bol raha hai

dur chalen 'maKHdum' yahan se
ek uDte panchhi ne kaha hai