soch di hai jawab bhi de
kuchh to yarab hisab bhi de
qatra qatra sharab barse
thoDa thoDa azab bhi de
chahaton ke to silsile hain
mausamon ka shabab bhi de
ek kinara hai dusra bhi
paniyon mein habab bhi de
jis ke kanTe bhi mujh ko chumen
koi aisa gulab bhi de
dhup hansti hai wahime bhi
tirgi de sarab bhi de
aag basti ka rahne wala
rang-e-gardish-e-sahab bhi de
lamhe-bhar mein hazar KHwahish
banda-parwar jawab bhi de
mohabbaton ka azab jhelun
nafraton ka sawab bhi de
tera mera hisab kaisa
KHwab hun aur KHwab bhi de
kun to mera wajud hai hun
lafz utren KHitab bhi de
main payambar nahin hun tauba
aankh di hai kitab bhi de
main to apne tawaf mein hun
rah-e-KHana-KHarab bhi de
Ghazal
Soch di hai jawab bhi de
Aazam Khursheed