اردو हिंदी
Soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha | Shaahi Shayari
soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha

Ghazal

Soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha

Farooq muztar

;

soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha
koi dariya dasht ke atraf mein bahta na tha

us ko kab fursat thi jo chehron ko paDhta ghaur se
warna sath-e-aina ka har waraq sada na tha

jaane kyun ab raat din ghar mein paDa rahta hai wo
pahle yun KHud mein kabhi simTa hua rahta na tha

KHushbuon rangon ko pi leti hai aakar zard-sham
peD hai andesha-e-anjam to sukha na tha

shah-rahon se gurezan hai magar kuchh soch kar
aadatan pahle to wo pagDanDiyan chalta na tha