so us ko chhoD diya us ne jab wafa nahin ki
palaT ke hum ne koi us se iltija nahin ki
phir us ke baad kahin taba aashna nahin ki
hamare dil mein kisi aur ne bhi ja nahin ki
jigar-figar rahe qais se siwa lekin
gae na dasht ko aur chaak bhi qaba nahin ki
KHuda ko hazir o nazir samajh ke ye kah de
ki hum ne tujh se mohabbat mein intiha nahin ki
magar tu phir bhi gila-mand hai to hota rahe
ki hum ne tujh se wafa ki nahin to ja nahin ki
zaruraten to kai tarah ki rahin darpesh
amir-e-shahr ke dar par kabhi sada nahin ki
KHafa kiya hai KHuda ko to barha lekin
KHuda ka shukr KHafa KHilqat-e-KHuda nahin ki
hamara zoam-e-suKHan rah gaya dhare ka dhara
ki us ke samne ek baat bhi bana nahin ki
rahi hai dil hi mein rudad apne dukh ki 'sukun'
kahin kaha nahin ki aur kahin suna nahin ki
Ghazal
So usko chhoD diya usne jab wafa nahin ki
Sultan Sukoon