so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai
la-shuuri wusaton mein unghta sa KHwab hai
muKHtasar hain zindagi ke din magar raaten tawil
bewafa aankhon ko hasil ba-wafa sa KHwab hai
ek manzar ko mukammal dekhta hai kaun ab
koi sunta hai kahan kya gunjta sa KHwab hai
nag hai saya-fagan sar par hun main mahw-e-KHiram
mujh apahij ko mayassar shankar-asa KHwab hai
shairi mein anfus o aafaq mubham hain abhi
istiara hi haqiqat mein KHuda sa KHwab hai
KHam hai 'kawish' hamara KHwab din mein dekhna
shaiKH-chilli aur sab ka be-tuka sa KHwab hai
Ghazal
So raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai
Kavish Badri