اردو हिंदी
So ke jab wo nigar uThta hai | Shaahi Shayari
so ke jab wo nigar uThta hai

Ghazal

So ke jab wo nigar uThta hai

Abdul Hamid Adam

;

so ke jab wo nigar uThta hai
misl-e-abr-e-bahaar uThta hai

teri aankhon ke aasare ke baghair
kab gham-e-rozgar uThta hai

do ghaDi aur dil lubhata ja
kyun KHafa ho ke yar uThta hai

aise jati hai zindagi ki umid
jaise pahlu se yar uThta hai

zindagi shirkaton se chalti hai
kis se tanha ye bar uThta hai

jo bhi uThta hai us ki mahfil se
KHasta o dil-figar uThta hai

aaj ki raat KHair se guzre
dard-e-dil bar bar uThta hai

aao kuchh zindagi ke naz sahen
kis se tanha ye bar uThta hai

hosh mein ho to mai-kade se 'adam'
kab koi baada-KHwar uThta hai