so jaun par kaise soya ja sakta hai
us ko band aankhon se dekha ja sakta hai
pani par taswir banai ja sakti hai
us ka nam hawa par likkha ja sakta hai
ab main jitni chahun KHak uDa sakta hun
jitna chahun utna roya ja sakta hai
sada-dil dehati tha so man gaya main
haalanki us ghar tak rickshaw ja sakta hai
kya hum pahle jaise bhai ban sakte hain
ek chulhe par baiTh ke khaya ja sakta hai

Ghazal
So jaun par kaise soya ja sakta hai
Waseem Tashif