siyah bistar paDe hain subh-e-nazzara utar aae
ki shab ko zina zina koi mah-para utar aae
sawar-e-gham rawan hain khol do ishrat-kadon ke dar
KHabar kya kaun andhere ka thaka-haara utar aae
ajab Dar hai maTili wadiyan upar ko takti hain
kisi tufan ki surat na tayyara utar aae
damak uTThe meri subhon mein wo hansta hua chehra
meri raaton mein un aankhon ka gham sara utar aae
haqiqat ki sharar-angeziyon mein guftugu us ki
zaban kholun to jaise lab pe angara utar aae
daraKHshan bazuon ki halqa halqa surKH si maujen
hamare KHun se shoalon ka fawwara utar aae
tamashe bahr ki sathon pe maujon ke bhi kya kam hain
ki upar se hawaon ki ada-kara utar aae
Ghazal
Siyah bistar paDe hain subh-e-nazzara utar aae
Zakauddin Shaya.n