siyasat jab zarurat ho naya rishta banati hai
koi kitna muKHalif ho use apna banati hai
shanasa KHauf ki taswir hai us ki bayazon mein
meri beTi hasin pinjre mein ek chiDiya banati hai
taKHayyul harf mein Dhal kar ubhar aata hai kaghaz par
sarapa sochta hun main ghazal chehra banati hai
kisi par mehrban hoti hai jab bhi daulat-e-duniya
use sahab use qibla use kya kya banati hai
haqiqi shairi dad-e-suKHan se bhi hui mahrum
bila sar-pair wali shairi paisa banati hai
gawara kab hai mamta ko mera yun dhup mein chalna
meri man oDhni phaila ke ek chhata banati hai
ye achchhai mein bhi 'sabir' burai DhunD leti hai
ye duniya hai alif par bhi kabhi shosha banati hai

Ghazal
Siyasat jab zarurat ho naya rishta banati hai
Sabir Shah Sabir