siyane the magar itne nahin hum
KHamoshi ki zaban samjhe nahin hum
ana ki baat ab sunna paDegi
wo kya sochega jo ruThe nahin hum
adhuri lag rahi hai jit us ko
use haare hue lagte nahin hum
hamein to rok lo uThne se pahle
palaT kar dekhne wale nahin hum
bichhaDne ka tere sadma to hoga
magar is KHauf ko jite nahin hum
tere rahte to kya hote kisi ke
tujhe kho kar bhi duniya ke nahin hum
ye manzil KHwab hi rahti hamesha
agar ghar lauT kar aate nahin hum
kabhi soche to is pahlu se koi
kisi ki baat kyun sunte nahin hum
abhi tak mashwaron par ji rahe hain
kisi surat baDe hote nahin hum

Ghazal
Siyane the magar itne nahin hum
Shariq Kaifi