siyahkar siyah-ru KHata-shiar aaya
teri janab mein tera gunahgar aaya
KHizan ka daur gaya mausam-e-bahaar aaya
magar na us dil-e-be-sabr ko qarar aaya
kahin jawab na tu ne diya yahan ke siwa
jahan mein yun to bahut main tujhe pukar aaya
sara-e-dahr mein chhoDa tan-e-kasif apna
ye bojh sar se musafir tera utar aaya
hamare nala-e-dil ka na pochhiye ahwal
gali se yar ki himmat bhi ab ke haar aaya
paDi jo qais ke upar nazar bayaban mein
mujhe gharib ke upar ghazab ka pyar aaya
na apne panw se aana mila gali mein teri
yahan bhi chaar ke kandhon pe main sawar aaya
ye iztirab hai kyun hai kidhar ka qasd ai ruh
kahan se aai talab kis jagah se tar aaya
meri na puchh ki teri gali mein KHak hun main
tujhi ko meri wafa ka na eatibar aaya
lahad ne khol ke aaghosh di jagah jo mujhe
lipaT ke rah gae hum ko bhi KHub pyar aaya
yaqin jaan le saqi ki KHum ki KHair nahin
KHuda na-karda jo ab ke mujhe KHumar aaya
mere nasib kahan is tarah ke dida-e-tar
sunun ye KHush-KHabari kan se ki yar aaya
tere firaq ke KHugar na mar miTe jab tak
qaza ke aane ka tab tak na eatibar aaya
Ghazal
Siyahkar siyah-ru KHata-shiar aaya
Shad Azimabadi