siyah raat se hum raushni banate hain
purani baat ko aksar nai banate hain
kal ek bachche ne hum se kaha banao ghar
so hum ne kah diya Thahro abhi banate hain
hum ek aur hi manzar ki tak mein hain miyan
ye dhup-chhanw ke naqshe sabhi banate hain
musawviran-e-fana apne canwas pe kabhi
na koi shahr na koi gali banate hain
hum us dayar mein zinda hain jis ke sare log
kabhi fatila kabhi lablabi banate hain
Ghazal
Siyah raat se hum raushni banate hain
Asad Badayuni

