siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
yahan se guzre hain guzrenge hum se ahl-e-wafa
ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka
kahin na sab ko samundar baha ke le jae
ye khel KHatm karo kashtiyan badalne ka
bigaD gaya jo ye naqsha hawas ke hathon se
to phir kisi ke sambhaale nahin sambhalne ka
zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta
KHayal chhoD chuke kya charagh jalne ka
Ghazal
Siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
Shahryar