siyah-KHana-e-ummid-e-raegan se nikal
khuli faza mein zara aa ghubar-e-jaan se nikal
ajib bhiD yahan jama hai yahan se nikal
kahin bhi chal magar is shahr-e-be-aman se nikal
ek aur rah udhar dekh ja rahi hai wahin
ye log aate rahenge tu darmiyan se nikal
zara baDha to sahi waqiat ko aage
tilism-kari-e-aghaz-e-dastan se nikal
tu koi gham hai to dil mein jagah bana apni
tu ek sada hai to ehsas ki kaman se nikal
yahin kahin tera dushman chhupa hai ai 'bani'
koi bahana bana bazm-e-dostan se nikal
Ghazal
Siyah-KHana-e-ummid-e-raegan se nikal
Rajinder Manchanda Bani

