اردو हिंदी
Siwae-dar-ba-dari usko KHak milta hai | Shaahi Shayari
siwae-dar-ba-dari usko KHak milta hai

Ghazal

Siwae-dar-ba-dari usko KHak milta hai

Alamtaab Tishna

;

siwae-dar-ba-dari us ko KHak milta hai
jo aasman se apni zamin badalta hai

main jab bhi ghar se nikalta hun raat ko tanha
charagh le ke koi sath sath chalta hai

ajib hota hai nazzargan-e-shauq ka haal
rida-e-mah pahan kar wo jab nikalta hai

baru-e-chashm rida-e-hijab tan li jae
wo zer-e-saya-e-gul pairahan badalta hai

fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlu mein
tamam raat koi karwaTen badalta hai

guzar dete hain aawara-gard aag ke gird
jo be-Thikana hain un ka bhi kaam chalta hai

hamare dam se bhi hai mausamon ki gul-kari
charagh-e-lala mein dil ka lahu bhi jalta hai

main wo shahid-e-wafa hun ki qatl kar ke mujhe
mera ghanim tassuf se hath malta hai

hamein nasib hua aisi manzilon ka safar
qadam qadam pe jahan rasta badalta hai

hawa-e-daman-e-rangin ye kah gai 'tishna'
hamare samne kis ka charagh jalta hai