siwa hai had se ab ehsas ki girani bhi
giran guzarne lagi un ki mehrbani bhi
kis ehtimam se paDhte rahe sahifa-e-zist
chalen ki KHatm hui ab to wo kahani bhi
likho to KHun-e-jigar se hawa ki lahron par
ye dastan anokhi bhi hai purani bhi
kisi tarah se bhi wo gauhar-e-talab na mila
hazar bar luTai hai zindagani bhi
hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri
hamin ko saunpi gai gham ki pasbani bhi
ye kya ajab ki wahi bahr-e-nisti mein giri
nafs ki mauj mein masti bhi thi rawani bhi
shuur o fikr se aage hai chashma-e-taKHliq
haTega sang to bahne lagega pani bhi
Ghazal
Siwa hai had se ab ehsas ki girani bhi
Zahida Zaidi