sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata
ki qatl karna ho jis ko kaha nahin jata
ye kam hai kya ki mere pas baiTha rahta hai
wo jab talak mere dil ko dukha nahin jata
tumhein to shahr ke aadab tak nahin aate
ziyaada kuchh yahan puchha-guchha nahin jata
baDe azab mein hun mujh ko jaan bhi hai aziz
sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jata
bharam sarab-e-tamanna ka kya khula mujh par
ab ek gam bhi mujh se chala nahin jata
ajib log hain dil mein KHuda se munkir hain
magar zaban se zikr-e-KHuda nahin jata
uDa ke KHak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
wahan talak to koi rasta nahin jata

Ghazal
Sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata
Zeb Ghauri