sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai
raqib ki bhi zarurat nikal hi aati hai
qadam rakhen to kahan aab-o-reg-o-KHak pe hum
sabhi jagah koi turbat nikal hi aati hai
hisab-e-qurb-o-kashish kar ke kyun hon sharminda
mere lahu ki to qimat nikal hi aati hai
hai pul-siraat ki hi bu-nisai rah-e-jahan
yahan bhi hashr ki haalat nikal hi aati hai
baDe zamane se hun dushmanon ki aankhon mein
kisi mein chashm-e-murawwat nikal hi aati hai
main mirkaza hun magar mirkaza bhanwar ka hun
kisi bhi mauj se qurbat nikal hi aati hai
ye shairi hai paDosi ke pattharon ke sabab
tarashta hun to jiddat nikal hi aati hai

Ghazal
Sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai
Tafzeel Ahmad