sitam ye hai ki un ka jaur-e-paiham kam nahin hota
mizaj-e-ishq is par bhi kabhi barham nahin hota
ye haalat hai ki kuchh pa kar KHushi dil ko nahin hoti
agar kuchh kho bhi jata hai to us ka gham nahin hota
kabhi hanste hain aur aankhon mein aansu aae jate hain
kabhi rote hain aur daman-e-mizhgan nam nahin hota
KHulus aur aashti ki rah mein aankhen bichhata hun
ghurur-e-jah ke aage mera sar KHam nahin hota
nishan-e-naqsh-e-pa chhoDunga har ek gam par mujh se
guzishta azmaton ki KHak par matam nahin hota
Ghazal
Sitam ye hai ki un ka jaur-e-paiham kam nahin hota
Manzoor Ahmad Manzoor